MAA

23915775_1997383117143737_1572992110091117801_n

Tum aisi kyun ho maa

Tum aisi kyun ho?

Apni jaan ko jokhim main daal ke

Humko duniya main laati ho.

Raat bhar bina soye

Humko mithi lori gaake sulati ho.

Bhookh lagne se pehle hi

Khana khila deti hai maa,

Rone se pehle hi

Samjha deti hai maa.

Pyaar se sir pe haath pher de to

Dard mit jate hain,

Sine se gale lagati hai toh

Jannatein mil jaati hain.

Yeh jo do akshar aaj sikh payi hu

Yeh maa ne hi sikhaya hai,

Padh likh kar aaj jo kuch bhi ban payi hu

Sab maa ka hi ashirvad hai.

Aaj badi ho gayi hu

Apne pairon par khadi hu

Laga jaise saara aasmaan cheen liya hai maine

To bhool gayi main maa ko.

Par ek din aisa aaya

Jab pankh kate mere

Zameen pe aake dham se giri main

Tab maa ne hi aake sambhala

Na jaane kya jaadu hain uske haathon main

Uska hai yeh andaaz nirala!

Zuban se kuch keh sakti, uske pehle hi

Aankhon ki nami ko padh gayi woh

Aansu tapakne se pehle hi

Gale laga li woh!

Kya bolu maa, aaj phir se

Ek nanhi si jaan ban jaane ka man karta hai

Tumhari aanchal main muh chupane ko jee chahta hai……

Duniya se bahut ladh lia hai maa,

Ab mujhe wapas ghar bula lo

Bachpan ki tarah lori gaake

Phir se mujhe sula do.

2 responses to “MAA

  1. Beautiful poem of a beautiful daughter.. simply love it ..god bless you and grow in all spheres of life ahead

Leave a comment